tune kyu na kaha…
maine keh to diya
par tumne samjha nahi
dil ki baatein jo thi
woh kahan mit gayi
tumhara haal na mera sa hai
tumhari khushi mein bhi gham sa hai
na hum keh sake
na tum samajh paaye
dil ki baatein jo thi
woh dil mein hee reh gayi
tumne apna jahan hai bana liya
kho se gaye ho naye jahan mein tum
baat adhoori chod gaye ho tum
iska ehsaas na ab tumko raha
phir se aaye ho nazar mein tum
dil mein uthi hai chahat phirse
jaane kyu yeh umang ab hai chidi
jab iska na matlab koi raha
lamha beet gaya
ab na ho phir pehal
kuch baatein adhoori hee sahi